اردو हिंदी
Baat karne ka nahin samne aane ka nahin | Shaahi Shayari
baat karne ka nahin samne aane ka nahin

Ghazal

Baat karne ka nahin samne aane ka nahin

Ahmad Rizwan

;

baat karne ka nahin samne aane ka nahin
wo mujhe meri aziyyat se bachane ka nahin

dur ek shahr hai jo pas bulata hai mujhe
warna ye shahr kahin chhoD ke jaane ka nahin

kya yunhi raat ke pahlu mein kaTegi ye hayat
kya koi shahr ke logon ko jagane ka nahin

ajnabi log hain main jin mein ghira rahta hun
aashna koi yahan mere fasane ka nahin

ye jo ek shahr hai ye jis pe tasarruf hai mera
main yahan koi bhi diwar banane ka nahin

baad muddat ke jo aaya tha wahi lauT gaya
ab yahan koi charaghon ko jalane ka nahin

aane wali hai nai subh zara der ke baad
kya koi rah-e-tamanna ko sajaane ka nahin