baat karna hai karo samne itrao nahin
jo nahin jaante us baat ko samjhao nahin
main wo samjha hun bayan tum se jo hoga na kabhi
be-zarar hun mere is kashf se ghabrao nahin
is tarannum mein to mafhum nahin hai koi
sher kahte ho to paDh Dalo magar gao nahin
band aankhon mein bikhar jate hain bajte hue rang
mujh se andhe ko koi aaina dikhlao nahin
main ikai ki tarah sab mein samaya 'majid'
baat baDh jaegi aadad ko ginwao nahin

Ghazal
Baat karna hai karo samne itrao nahin
Majid-ul-Baqri