baat kaisi bhi ho andaz naya deta tha
aise hansta tha ki wo sab ko rula deta tha
koi mayus jo milta to na rahta be-as
rang chehre pe tabassum ka saja deta tha
umr bhar ret pe chalta raha lekin wo shaKHs
tapti rahon pe hari ghas bichha deta tha
koi anjam-e-mohabbat ki jo baaten karta
phul ke chehre pe shabnam wo dikha deta tha
meri ghalati pe bigaDta bhi bahut tha lekin
aur phir mujh ko wo ji bhar ke dua deta tha
Ghazal
Baat kaisi bhi ho andaz naya deta tha
Prem Bhandari