اردو हिंदी
Baat kahne ke liye baat banai na gai | Shaahi Shayari
baat kahne ke liye baat banai na gai

Ghazal

Baat kahne ke liye baat banai na gai

Charkh Chinioti

;

baat kahne ke liye baat banai na gai
hum se baraat farebon ki sajai na gai

aaj bhi dar ke taKHta se sada aati hai
haq ki aawaz sitamgar se dabai na gai

dost karte hain hasad is liye teri taswir
ma-siwa dil ke kahin aur sajai na gai

gham ki taswir banane ko main jab bhi baiTha
un ki muskan ubhar aai banai na gai

nai tahzib ke KHakon ko sanwara hum ne
hum se aKHlaq ki taswir banai na gai

jaane kya sujhi meri qabr par aa kar un se
gul chaDhae na gae shama jalai na gai

main to baat aai gai kar ke chala aaya tha
ho gai baat parai wo dabai na gai

us ne hangamon se bahlai hai apni duniya
waqt se aman ki shahnai bajai na gai

'charKH' dekhe jo jawani ke ubharte jalwe
zindagi apni gunahon se bachai na gai