baat ka apni na jab paya jawab
hum ye samjhe wo dahan hai la-jawab
baaten sunwain lab-e-KHamosh ne
warna hum dete use kya kya jawab
be-nishan hai wo kamar shakl-e-dahan
kaun si shai hai nahin jis ka jawab
sada kaghaz bheja name ke ewaz
wan se aaya bhi to saf aaya jawab
puchhta gar us kamar ka main nishan
ghaib se milta mujhe is ka jawab
tum jo kuchh kahte zaban-e-tegh se
main dahan-e-zaKHm se deta jawab
aaj mujh se baat agar karte nahin
denge ye but kal KHuda ko kya jawab
be-dahan wo hai to main hun be-zaban
yar ki surat hun main bhi la-jawab
kah ke ek misra mah-e-nau rah gaya
ho saka kab bait-e-abru ka jawab
baat sidhi ki jo tha mazkur-e-qad
zikr-e-abru mein diya TeDha jawab
kijiye kya baat us kaj-taba se
dega charKH-e-wazhgun ulTa jawab
baaten karta hai jo parda chhoD kar
mujh ko deta hai wo dar-parda jawab
aa gaya ai wae paigham-e-ajal
par na qasid le ke kuchh aaya jawab
sun ke baiten mere hasid chup rahe
ai 'wazir' apna suKHan hai la-jawab
Ghazal
Baat ka apni na jab paya jawab
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi