اردو हिंदी
Baat jo tujhse zabani ho gai | Shaahi Shayari
baat jo tujhse zabani ho gai

Ghazal

Baat jo tujhse zabani ho gai

Adil Hayat

;

baat jo tujh se zabani ho gai
kuchh haqiqat kuchh kahani ho gai

be-sabab phirti nahin hai rah mein
shahr ki laDki siyani ho gai

raat phir pagal hawa ke shor mein
zist meri dastani ho gai

rose kahte hain magar kahte nahin
zindagi apni kahani ho gai

baat apne shahr ki kuchh to kaho
qatilon ki pasbani ho gai

kis liye be-kaif ho 'adil'-hayat
KHatm kya sari kahani ho gai