baat ho dair-o-haram ki ya watan ki baat ho
baat jab ho doston husn-e-chaman ki baat ho
desh ki KHatir KHushi se jo luTa dete hain jaan
un shahidan-e-watan ke bankpan ki baat ho
qaum-o-mazhab kya kisi ka aur kya hai rang-o-nasl
aisi baaten chhoD kar bas ilm-o-fan ki baat ho
asr-e-hazir ne hamara dil bhi patthar kar diya
lazmi hai ab wafaon ke chalan ki baat ho
is amal se zindagi ho jaegi aasan bahut
aisa kuchh mat boliye jis mein chubhan ki baat ho
ek hi rangat hai sab ke KHun ki to dosto
kyun hamare bich shaiKH-o-barahman ki baat ho
mil ke baiThe hain to yaro ab sunaen haal-e-dil
kuchh tumhaare dil ki ho kuchh mere man ki baat ho
Ghazal
Baat ho dair-o-haram ki ya watan ki baat ho
Shayan Quraishi