baat dil ko mere lagi nahin hai
mere bhai ye shaeri nahin hai
jaanti hai mere charagh ki lau
kaun se ghar mein raushni nahin hai
wo talluq bhi mustaqil nahin tha
ye mohabbat bhi daimi nahin hai
main jo qissa suna chuka to khula
koi diwar bolti nahin hai
dekhne wali aankh bhi to ho
kaun dariya mein jal-pari nahin hai
buzdila chhup ke war karta hai
tujh ko tahzib-e-dushmani nahin hai
kya karun is bahisht ko jis mein
ek botal sharab ki nahin hai
tujh se milna bhi hai nahin bhi mujhe
aur tabiat ulajh rahi nahin hai
kaun se shahr ke charagh ho tum
tum mein dam bhar ki raushni nahin hai
jis ka charcha hai shahr mein 'ami'
wo ghazal to abhi kahi nahin hai
Ghazal
Baat dil ko mere lagi nahin hai
Imran Aami