اردو हिंदी
Baat dil ki zaban par aai | Shaahi Shayari
baat dil ki zaban par aai

Ghazal

Baat dil ki zaban par aai

Riyaz Khairabadi

;

baat dil ki zaban par aai
aafat ab meri jaan par aai

aarzu kyun zaban par aai
un ki zulf uD ke kan par aai

khinchte hi uD gai wo baada-farosh
chokhi mai kab dukan par aai

ho gai unchi un ke baam se aah
aafat ab aasman par aai

ki farishton ne jab sarahat-e-jurm
hansi un ke bayan par aai

jab chali aasman se koi bala
sidhi mere makan par aai

ghair ka saz ban ke raaz raha
baat sab pasban par aai

roke rukta nahin hai sail-e-sarishk
ab tabahi makan par aai

aai botal bhi mai-kade se 'riyaz'
jab ghaTa aasman par aai