baat be-shak na karen aap idhar dekhen to
log kis haal mein hain ek nazar dekhen to
KHair hona to wahi hai jo KHuda chahega
phir bhi kar sakte hain hum log jo kar dekhen to
tum ne dekha hai wahi KHwab jo main ne dekha
is ko kahte hain mohabbat ka asar dekhen to
aap ishrat-kada-e-ghair ki rakhi kar ke
aaen aur aa ke kabhi apna bhi ghar dekhen to
KHiragi aur tapish dhup ki hai baad ki baat
pahle ye shab to kaTe log sahar dekhen to
rang chehron se kai logon ke uD jaega
zikr mera kabhi is bazm mein kar dekhen to
main bhi phir tujh se kahunga ki baha KHun baha
teri jaanib wo kabhi dida-e-tar dekhen to
phir wo yun auron pe tanqid ki jurat na karen
apna bhi chaak-e-gareban wo magar dekhen to
Ghazal
Baat be-shak na karen aap idhar dekhen to
Murtaza Birlas