اردو हिंदी
Baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae | Shaahi Shayari
baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae

Ghazal

Baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae

Nitin Nayab

;

baat bah jaane ki sun kar ashk barham ho gae
ek zara koshish bhi ki to aur pur-nam ho gae

ye hua mamul ki manus-e-gham dil ho gaya
hum samajh baiThe hamare dard kuchh kam ho gae

kaifiyat izhaar-e-soz-e-dil ki kuchh aisi hui
aate aate lab talak alfaz mubham ho gae

waqt ki chaaragari bhi dekhiye kya KHub hai
gham dawa mein Dhal gaya aur zaKHm mahram ho gae

gardishon ke abr ki ek bund tan par kya giri
kal jo the shoala-sifat wo aaj shabnam ho gae

the hamare KHun ke qatre KHak ki surat KHuda
tere naqsh-e-pa ko chhu kar aab-e-zamzam ho gae

dushmani baDhne ka yun 'nayab' gham hum ko nahin
han magar afsos ye hai dost kuchh kam ho gae