baat ban jae jo tafsil se baaten kar le
tishnagi meri agar jhil se baaten kar le
jahan ke ganw se tariki nikal sakti hai
dil agar fikr ki qindil se baaten kar le
tu KHaridar mere dil ki zamin ka hai Thahar
pahle dil ruh ki tahsil se baaten kar le
kaba-e-dil tujhe mahfuz agar rakhna hai
ja ke ulfat ki ababil se baaten kar le
sirf quran ke alawa hai bhala kis ki majal
jo ki tauraat se injil se baaten kar le
wo suhulat hamein goggle ne faraham ki hai
pal mein insan brazil se baaten kar le
aaqibat apni banani hai agar 'faiz' tujhe
nafs ki uDti hui chil se baaten kar le
Ghazal
Baat ban jae jo tafsil se baaten kar le
Faiz Khalilabadi