baat aisi bhi koi nahin ki mohabbat bahut ziyaada hai
lekin hum donon se us ki taqat bahut ziyaada hai
aap ke pichhe pichhe phirne se to rahe is umr mein hum
rah pe aa baiThe hain ye bhi ghanimat bahut ziyaada hai
ishq udasi ke paigham to lata rahta hai din raat
lekin hum ko KHush rahne ki aadat bahut ziyaada hai
kaam to kafi rahta hai lekin karna hai kis ne yahan
be-shak rose idhar aa niklo fursat bahut ziyaada hai
kya kuchh ho na saka hum se aur hone wala hai kya kuchh
hasrat bhi kafi hai lekin hairat bahut ziyaada hai
sair hi karke aa jaenge phir bazar-e-tamasha ki
jis shai ko bhi hath lagaen qimat bahut ziyaada hai
us ki tawajjoh hasil ki aur bich mein sab kuchh chhoD diya
hikmat jitni bhi ho is mein himaqat bahut zyaada hai
ishq hai kis ko yaad ki hum to Darte hi rahte hain sada
husn wo jaisa bhi hai us ki dahshat bahut zyaada hai
ek chiz jo apni rasai se bahar hai kahin 'zafar'
sach puchho to is ki hamein zarurat bahut zyaada hai
Ghazal
Baat aisi bhi koi nahin ki mohabbat bahut ziyaada hai
Zafar Iqbal