baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi
ek jazbaat ki shiddat thi mohabbat kya thi
ab ye jaana ki wo din-raat ke shikwe kya the
ab ye malum hua wajh-e-shikayat kya thi
koi ek shoKH ishaara hi bahut tha ai dost
itne sanjida tabassum ki zarurat kya thi
mazarat thi wo faqat apni ghalat-bini ki
jis pe nazan the bahut hum wo basirat kya thi
halqa-e-zulf-e-rasa us ke liye kafi tha
tere diwane ko zanjir ki hajat kya thi
ye usi ka hai natija ki tahi-dast rahe
har khilaune pe lapakne ki zarurat kya thi
faras-e-umr hi apna hai bahut sust qadam
warna 'ehsan' pe thoDi si masafat kya thi
Ghazal
Baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi
Ehsan Darbhangavi