bashinde haqiqat mein hain hum mulk-e-baqa ke
kuchh rose se mehman hain is dar-e-fana ke
dil KHun ho shab-e-wasl bhi hasrat mein na kyun-kar
dekhen na wo KHalwat mein bhi jab aankh uTha ke
farmaiye hum se thi yahi shart-e-mohabbat
KHub aap ne ruswa kiya ghairon mein bula ke
kuche mein na aae koi main jaan gaya hun
farmate ho mujh se ye raqibon ko suna ke
dil hath se kho jata hai kis taur se zahid
to aap zara dekh le us kuche mein ja ke
KHak-e-dar-e-jaanan hai libas-e-tan-e-uryan
aashiq tere mohtaj nahin aur qaba ke
hum sar ke bal aaenge jo bulwaoge sahab
gar ho na yaqin dekh lo tum chaho bula ke
ho saya-e-diwar tumhaara jo mayassar
phir kya karen farmaiye sae ko huma ke
dil khol ke kar lijiye ai hazrat-e-dil sair
hum phir ke na phir aaenge is bazm se ja ke
tan KHak mein mil jaega ek rose hamara
ji tan se nikal jaega manind hawa ke
Ghazal
Bashinde haqiqat mein hain hum mulk-e-baqa ke
Mardan Ali Khan Rana