barish ruki wabaon ka baadal bhi chhaT gaya
aisi chalen hawaen ki mausam palaT gaya
patthar pe gir ke aaina TukDon mein baT gaya
kitna mere wajud ka paikar simaT gaya
kaTta nahin hai sard-o-siyah-raat ka pahaD
suraj tha saKHt dhup thi din phir bhi kaT gaya
chhaalen shajar shajar se utarne ko aa gain
bosida pairahan hua itna ki phaT gaya
talwar be-yaqini ke hathon mein aa gai
apne muqable mein har ek shaKHs DaT gaya
jab tak na chhu ke dekha tha wusat thi aap mein
dekha to chhui-mui ka pauda simaT gaya
saya tha bhagta tha bahut meri dhup se
wo shaKHs ki jo mere gale se chimaT gaya
Ghazal
Barish ruki wabaon ka baadal bhi chhaT gaya
Yaseen Afzal