اردو हिंदी
Barish mein aksar aisa ho jata hai | Shaahi Shayari
barish mein aksar aisa ho jata hai

Ghazal

Barish mein aksar aisa ho jata hai

Vikas Sharma Raaz

;

barish mein aksar aisa ho jata hai
diwar-o-dar par sabza ho jata hai

sakh KHushi ki kyun gir jati hai mujh mein
gham ka parcham kyun uncha ho jata hai

aaKHir-e-shab dariya mein sanp utarte hain
subh talak pani nila ho jata hai

dil ka suna rahna Thik nahin sahab
suna dil aaseb-zada ho jata hai

jhonka aate hi sairab sadaon ka
KHamoshi ka dasht hara ho jata hai

tanha hota hun to mar jata hun main
mere andar tu zinda ho jata hai