barish ke ghanghor hawale ginta rahta hun
lamha lamha baadal kale ginta rahta hun
sadiyan guzrin KHwabon ko aankhon mein aae
palkon par makDi ke jale ginta rahta hun
upar wala manzil mujh ko dikhlata hai
aur main apne pair ke chhaale ginta rahta hun
tariki ki lashen ginna kitna mushkil hai
din ke aadam-KHor ujale ginta rahta hun
meri chhanw ke TukDe khata jata hai suraj
main aangan mein baiTh niwale ginta rahta hun
pani kitna upar ho to Dubunga main
kitne patthar ab tak Dale ginta rahta hun
duniya tare ginte ginte soti hai yar
main be-chaara chand ke haale ginta rahta hun
Ghazal
Barish ke ghanghor hawale ginta rahta hun
Ali Imran