اردو हिंदी
Bar-ha dil ko main samjha ke kaha kya kya kuchh | Shaahi Shayari
bar-ha dil ko main samjha ke kaha kya kya kuchh

Ghazal

Bar-ha dil ko main samjha ke kaha kya kya kuchh

Sauda Mohammad Rafi

;

bar-ha dil ko main samjha ke kaha kya kya kuchh
na suna aur khoya mujh se mera kya kya kuchh

izzat-o-abru o hurmat o din o iman
roun kis kis ko main yaro ki gaya kya kya kuchh

sabr o aaram kahun ya ki main ab hosh-o-hawas
ho gaya us ki judai mein juda kya kya kuchh

ishq kis zat ka aqrab hai ki lagte hi nish
dil ke sath aankhon se pani ho baha kya kya kuchh

sada-rui ne to khoya dil o din se dekhen
KHat ke aane mein hai qismat ka likha kya kya kuchh

daKHl kya rah-e-mohabbat mein niko-nami ko
aaya is kuche mein jo un ne suna kya kya kuchh

walih-o-shefta o zar-o-hazin o majnun
apne aashiq ko kal us ne na kaha kya kya kuchh

girya-e-shisha kabhi tha to kabhi KHanda-e-jam
saqi is daur mein tere na hua kya kya kuchh

ghurra mat ho jo zamane se teri ban aai
tha wo kya kya ki na bigDa na bana kya kya kuchh

shadi aane ki na kar yar na jaane ka gham
aaya kya kya na kuchh is ja na gaya kya kya kuchh

sina qanun o ghina nala o dil hai mizrab
nikle hai saz-e-mohabbat se sada kya kya kuchh

dosto haq mein taraqqi o tanazzul apne
kya kahen hum ko zamane se hua kya kya kuchh

zoaf o na-taqati o susti o aaza-shikani
ek ghanTe mein jawani ke baDha kya kya kuchh

sair ki qudarat-e-KHaliq ki butan mein 'sauda'
musht bhar KHak mein jalwa hai bhala kya kya kuchh