baqi sab kuchh duniya mein be-mani hai
meri nazar mein ek tu hi la-sani hai
roz badal kar chehre kyun dikhlata hai
teri har surat jaani-pahchani hai
sath rahe jyun koi kinare nadiya ke
qismat ki bhi dekho kya man-mani hai
dard ka mausam phir se lauTa hai shayad
aankhon ke dariya par KHub rawani hai
gham aansu tanhai shikwe bechaini
is duniya mein sab ki ek kahani hai

Ghazal
Baqi sab kuchh duniya mein be-mani hai
Poonam Yadav