اردو हिंदी
Baqi na rahe hosh junun aisa hua tez | Shaahi Shayari
baqi na rahe hosh junun aisa hua tez

Ghazal

Baqi na rahe hosh junun aisa hua tez

Shauq Mahri

;

baqi na rahe hosh junun aisa hua tez
utna hi bhaTakta raha main jitna chala tez

din Dhalne laga baDhne lage sham ke sae
ai sust qadam ab to qadam apne uTha tez

kya jaaniye zalim ne kise qatl kiya hai
kyun hathon mein aaj us ke hua rang-e-hina tez

ab manzil-e-maqsud bahut dur nahin hai
ai ham-safaro aur zara aur zara tez

dekho to sahi kis ke ishaare pe chali hai
aai hai kidhar se ye fasadon ki hawa tez

allah re ye mere safine ka muqaddar
do hath hi sahil tha ki tufan chaDha tez

ai 'shauq' mere haal pe ye KHub karam hai
jab shama jalata hun to hoti hai hawa tez