baqi na hujjat ek dam-e-isbaat rah gai
sabit kiya jo us ka dahan baat rah gai
kya jald wasl-e-yar ki kam raat rah gai
jo baat chahte the wahi raat rah gai
bad-namiyon ke Dar se wo milte hain gah gah
chori-chhupe ki un se mulaqat rah gai
giryan wo hun jo abr-e-mizha ki jhaDi lagi
munh mera dekh dekh ke barsat rah gai
har-waqt baat baat pe dete ho jhiDkiyan
kyun sahab ab hamari ye auqat rah gai
milta nahin kisi se bashar koi be-gharaz
matlab ki ab jahan mein mulaqat rah gai
gardish mein sath un aankhon ka koi na de saka
din rah gaya kabhi to kabhi raat rah gai
waiz ko apne rang pe le aaya khinch kar
aaj aabru-e-rind-e-KHarabaat rah gai
baaten sunain ghairon ke aage jo yar ne
farmaiye phir aap ki kya baat rah gai
furqat mein sabr-o-hosh to sab kuch kar gae
par ek jaan morid-e-afat rah gai
tauhin-e-mai na karti thi rindon mein waiza
izzat tumhaari qibla-e-hajat rah gai
dil mein to KHak uDti hai zahir mein hain fida
ab to munafiqana mulaqat rah gai
dene ke badle dete hain sail ko jhiDkiyan
ye rah gae amir ye KHairaat rah gai
dil paemal karne the raftar-e-naz ko
ye chaal tujh se o but-e-bad-zat rah gai
aamada jaan lene pe meri thi wo magar
kya jaanen kyun ubhar ke teri gat rah gai
duniya se baDh ke kaun hai harjai dusra
do din na kis ke pas ye bad-zat rah gai
jo kuchh tha pas kar chuke sab nazr mai-farosh
ab mai-kashon ki qarz pe auqat rah gai
karna tha naqd-e-hosh use nazr ai 'qalaq'
pir-e-mughan ki hum se mudaraat rah gai
Ghazal
Baqi na hujjat ek dam-e-isbaat rah gai
Arshad Ali Khan Qalaq