baam se Dhal chuka hai aadha din
kis se milne chala hai aadha din
tum jo chaho to ruk bhi sakta hai
warna kis se ruka hai aadha din
jhankti sham ke kinare par
mujh se phir laD paDa hai aadha din
us ne dekha jahan palaT ke mujhe
bas wahin ruk gaya hai aadha din
aas ki aahaTen jagae hue
khiDkiyon mein saja hai aadha din
dhup ki reshmin tanabon par
kis tarah TuTta hai aadha din
paD rahi hogi barf wadi mein
aankh mein jam gaya hai aadha din
tirgi ka libas oDhe hue
mere andar chhupa hai aadha din
'ambarin' ek hai bakheDe sau
aur guzar bhi gaya hai aadha din
Ghazal
Baam se Dhal chuka hai aadha din
Ambarin Salahuddin