baam par aae kitni shan se aaj
baDh gae aap aasman se aaj
jab kaha hum KHafa hain jaan se aaj
bole KHush kar den imtihan se aaj
kis maze ki hawa mein masti hai
kahin barsi hai aasman se aaj
be-takalluf na ho koi un se
bane baiThe hain mehman se aaj
main ne chheDa to kis ada se kaha
kuchh sunoge meri zaban se aaj
dil ke TukDon ki tarah hum ne chune
TukDe kuchh dil ki dastan se aaj
nichi daDhi ne aabru rakh li
qarz pi aae ek dukan se aaj
unche koThon ke baiThne wale
baaten karte the aasman se aaj
na-tawan dil ki be-zaban dil ki
aap ne sun li apne kan se aaj
koi ja kar 'riyaz' ko samjhae
kuchh KHafa hain wo apni jaan se aaj
Ghazal
Baam par aae kitni shan se aaj
Riyaz Khairabadi