baam-o-dar TuT gae bah gaya pani kitna
aur barbaad karegi ye jawani kitna
rang kumhla diya baalon mein piro di chandi
tul khinchegi abhi aur kahani kitna
ye talatum ye ana aabla-pai ye junun
hum bhi dekhenge ki hai josh-e-jawani kitna
darmiyan aa gaya ibham ka ek koh-e-giran
DhunDhte rah gae hum dasht-e-maani kitna
barf ki tarah jame jate hain sare alfaz
kaam aaegi yahan sehr-bayani kitna
Dub kar sanson mein rag rag mein sama kar dekho
masala dil ka sulajhna hai zabani kitna
baDhta jaega ye sailab-e-hawadis 'shahid'
rok paega koi zor-e-rawani kitna
Ghazal
Baam-o-dar TuT gae bah gaya pani kitna
Shahid Mahuli