baalidagi-e-zarf pe dikhlae gae log
har gam pe gum-nam hai miTwae gae log
is farsh-e-tilismi ko ata kar di faraghat
yun tasht-e-farebi mein hi bikhrae gae log
qismat ki lakiron mein jinhen bandh ke rakkha
aazadi ki masnad pe bhi biThlae gae log
har roz naya ek tamasha hua jari
aaraish-e-duniya mein jo uljhae gae log
pechidgi-e-fikr mein kya KHub phansaya
ehsas ke shanon se hi suljhae gae log
duniya mein darindon ko baDe faKHr se bheja
har zulm pe phir sabr se samjhae gae log
ek KHauf tha us ja-e-pareshan ki faza mein
be-KHauf jo kuchh nikle wo dhamkae gae log
be-KHaufi se jab KHauf baDha ahl-e-jahan ka
maqtul hue KHak mein dafnae gae log
haq chup hi rahe lab na khulen sar na uThae
is waste be-maut bhi marwae gae log
nairangi-e-kirdar pe hairan hain 'asra'
sau pahlu se ek bazm mein milwae gae log
Ghazal
Baalidagi-e-zarf pe dikhlae gae log
Asra Rizvi