baala-e-baam ghair hai mein aastan par
chahen jise chaDhaen huzur aasman par
kyun na-murad aah gai aasman par
TuTe na aasman kahin meri jaan par
ruswaiyan hain sath wo chhup kar hazar jaan
sau sau ke sar jhuke hain qadam ke nishan par
aana use zarur go hon lakh ehtimam
aashiq hai un ki nind meri dastan par
tha raaz-dar-e-husn wo kafir jo kah gaya
mashuq dil ki baat na laen zaban par
un ki gali mein raat mein is waza se gaya
ghabra ke pasban gire pasban par
nazuk si tegh-e-yar hai kya zahr ki bujhi
khae hue hai zahr mere imtihan par
bante hain shoKHiyon se wo suraj bhi chand bhi
naqsh-e-qadam bhi aap ke hain aasman par
KHalwat mein bhi chali hain kahin sina-zoriyan
is tarah aap tan ke uThe kis guman par
zikr-e-mai-e-tahur ne taDpa diya 'riyaz'
jaana paDa hamein kisi unchi dukan par
Ghazal
Baala-e-baam ghair hai mein aastan par
Riyaz Khairabadi