baal-o-par hon to faza kafi hai
warna parwaz-e-ana kafi hai
hum guman-gasht parindon ke liye
aasman bhi ho to na-kafi hai
is KHudai se nahin koi gharaz
hum ko bas nam-e-KHuda kafi hai
ye jo ek harf-e-dua hai lab par
na-rasa ho ki rasa kafi hai
kuchh nahin zat ke sahra mein magar
muntashir hone ko ja kafi hai
zard patte mein koi nuqta-e-sabz
apne hone ka pata kafi hai
Ghazal
Baal-o-par hon to faza kafi hai
Saleem Shahzad