اردو हिंदी
Bais-e-imbisat ho aamad-e-nau-bahaar kya | Shaahi Shayari
bais-e-imbisat ho aamad-e-nau-bahaar kya

Ghazal

Bais-e-imbisat ho aamad-e-nau-bahaar kya

Tilok Chand Mahroom

;

bais-e-imbisat ho aamad-e-nau-bahaar kya
rang-e-chaman dikhaega sina-e-dagh-dar kya

gumbad-e-gard-baad hai sar-ba-falak har ek taraf
dasht-e-junun mein rah gai qais ki yaadgar kya

talKH hai zist kijiye kis liye talKH-tar ise
KHurrami-e-guzishta ko roiye bar bar kya

sham-e-visal se ho kya mahw-e-fareb-e-arzu
yaad nahin rahi hamein subh-e-wida-e-yar kya

aap hi miT-miTa ke hum KHak-e-rah-e-fana hue
aur miTaegi hamein gardish-e-rozgar kya