اردو हिंदी
Bahar ke asrar lahu ke andar khulte hain | Shaahi Shayari
bahar ke asrar lahu ke andar khulte hain

Ghazal

Bahar ke asrar lahu ke andar khulte hain

Saqi Faruqi

;

bahar ke asrar lahu ke andar khulte hain
band aankhon par kaise kaise manzar khulte hain

apne ashkon se apna dil shaq ho jata hai
barish ki bauchhaar se kya kya patthar khulte hain

lafzon ki taqdir bandhi hai mere qalam ke sath
hath mein aate hi shamshir ke jauhar khulte hain

sham khule to nashshe ki had jari hoti hai
tishna-kaamon ki hujjat par saghar khulte hain

'saqi' pagal kar dete hain wasl ke KHwab mujhe
us ko dekhte hi aankhon mein bistar khulte hain