bahar ka dhan aata jata asal KHazana ghar mein hai
har dhup mein jo mujhe saya de wo sachcha saya ghar mein hai
patal ke dukh wo kya jaanen jo sath pe hain milne wale
hain ek hawala dost mere aur ek hawala ghar mein hai
meri umr ke ek ek lamhe ko main ne qaid kiya hai lafzon mein
jo haara hun ya jita hun wo sab sarmaya ghar mein hai
tu nanha-munna ek diya main ek samundar andhiyara
tu jalte jalte bujhne laga aur phir bhi andhera ghar mein hai
kya swang bhare roTi ke liye izzat ke liye shohrat ke liye
suno sham hui ab ghar ko chalo koi shaKHs akela ghar mein hai
ek hijr-zada babul piyari tere jagte bachchon se haari
ai shaer kis duniya mein hai tu teri tanha duniya ghar mein hai
duniya mein khapae sal kai aaKHir mein khula ahwal yahi
wo ghar ka ho ya bahar ka har dukh ka mudawa ghar mein hai
Ghazal
Bahar ka dhan aata jata asal KHazana ghar mein hai
Obaidullah Aleem