bahar hisar-e-gham se faqat dekhne mein tha
uljha hua to wo bhi kisi masale mein tha
yun bhi ghalat umid ka ilzam aa gaya
haalanki har sawal mera zabte mein tha
duniya ki fikr tujh ko mujhe tha tera KHayal
bas itna farq tere mere sochne mein tha
har shaKHs apne-ap ko samjhe hue tha mir
taqlid-e-kar koi kahan qafile mein tha
patthar wahin se aate the mujh ko nawazne
shishe ka ek makan jo mere raste mein tha
'sultan' hukmaran tha wo har lamha zehn par
mashghul raat din main jise bhulne mein tha
Ghazal
Bahar hisar-e-gham se faqat dekhne mein tha
Sultan Nizami