اردو हिंदी
Bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge | Shaahi Shayari
bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge

Ghazal

Bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge

Jaun Eliya

;

bahar guzar di kabhi andar bhi aaenge
hum se ye puchhna kabhi hum ghar bhi aaenge

KHud aahani nahin ho to poshish ho aahani
yun shisha hi rahoge to patthar bhi aaenge

ye dasht-e-be-taraf hai gumanon ka mauj-KHez
is mein sarab kya ki samundar bhi aaenge

aashuftagi ki fasl ka aaghaz hai abhi
aashuftagan palaT ke abhi ghar bhi aaenge

dekhen to chal ke yar tilismat-e-samt-e-dil
marna bhi paD gaya to chalo mar bhi aaenge

ye shaKHs aaj kuchh nahin par kal ye dekhiyo
us ki taraf qadam hi nahin sar bhi aaenge