baham suluk-e-KHas ka ek silsila bhi hai
wo kaun sath sath hai lekin juda bhi hai
barg-e-KHizan ki zard si tahrir hai magar
dast-e-shafaq mein phul sunahra khila bhi hai
ithar ki dhund mein hain gae mausamon ke naqsh
ek hath piTh par hai diya ek jala bhi hai
afkar jaise shaKHs barahna nagar ke hain!
alfaz ajnabi ki naya narawa bhi hai
pani mein ek charagh ki lau nam gudaz surKH
pani mein koi aks ajab zard sa bhi hai
ek nashsha! dhup! KHwab! shafaq! chandni! sarab
khiDki guman ki! samne manzar naya bhi hai
aao banaen kashtiyan kaghaz ki chal ke raaz
purwa chali hai jhum ke baadal uTha bhi hai
Ghazal
Baham suluk-e-KHas ka ek silsila bhi hai
Raj Narayan Raaz