اردو हिंदी
Baham buland-o-past hain kaif-e-sharab ke | Shaahi Shayari
baham buland-o-past hain kaif-e-sharab ke

Ghazal

Baham buland-o-past hain kaif-e-sharab ke

Naseem Dehlvi

;

baham buland-o-past hain kaif-e-sharab ke
aankhon mein hain tulu-o-ghurub aaftab ke

pite hain surKH-o-zard pyale sharab ke
kya kya hain auj-o-past mein rang aaftab ke

barson se DhunDhta hai mazamin sharab ke
gardun ulaT raha hai waraq aaftab ke

saqi unDel jam subuhi subu ki KHair
mushtaq kab se hain lab-e-shab aaftab ke

uTThe wo dud-e-dil ki falak ho gaya siyah
gul ho gae charagh mah-o-aftab ke

likkhun jo un ke chehra-e-raushan ka wasf main
paida karun zaban-o-dahan aaftab ke

dho de sharab se mere angur zaKHm ko
ta-jalwe baKHshen zaKHm-e-kuhan aaftab ke

kho dega dud-e-ah falak ki barahnagi
Dalegi sham munh pe naqab aaftab ke

KHali kahan falak sitam-e-rozgar se
rakhta hai dil pe dagh mah-o-aftab ke

jaane to do falak pe mere nala-e-junun
purze uDaenge waraq-e-aftab ke

ai charKH-e-pir dekh lin aThkheliyan teri
yaad aa gae hamein bhi zamane shabab ke

pai hai main ne zaKHm se talim-e-KHamushi
goya lab-e-sukut dahan hain jawab ke

marhum-e-arzu hain sada-e-shikast mein
rah rah gae hain bhar ke phaphole habab ke

kis eatibar mein nafas-e-chand ai 'nasim'
shab har ke waste ye tamashe hain KHwab ke