baghmati ke pas hi koi eraut ganw hai
janm mera wahin hua wo hi to ek Thanw hai
date thi chaar march aur sal tha wo chhiyasi ka
pak si is zamin par main ne rakha jo panw hai
log wahan pe aise hain jaise nadi ka nir ho
log kuchh aise bhi hain jo baat karo to danw hai
ganw mein kuchh daraKHt hain aur udas aurten
wo jo udas aurten hain wo hi asl chhanw hai
ganw ke ek chhor par lash meri hai jal rahi
pas hi ek peD par kag ki kanw kanw hai
Ghazal
Baghmati ke pas hi koi eraut ganw hai
Tripurari