اردو हिंदी
Baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae | Shaahi Shayari
baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae

Ghazal

Baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae

Arif Ansari

;

baghban ki be-ruKHi se nile-pile ho gae
KHar ki manind ab gul bhi nukile ho gae

bahte dariya se sabhi sairab hain lekin mujhe
sirf ek qatra mila bas honT gile ho gae

mai-kashon ne bas qadam rakkha tha sehn-e-bagh mein
phul-patte bel-buTe sab nashile ho gae

ek hi aadam se hain lekin siyasat ke nisar
kis qadar firqe bane kitne qabile ho gae

mere bachpan ka zamana phul ka ambar tha
jaise hi bachpan gaya ambar Tile ho gae

ek nazar tanqid ki paDne ki 'arif' der thi
sher jitne the ghazal mein sab rasile ho gae