اردو हिंदी
Bagh sara to bayaban na hua tha so hua | Shaahi Shayari
bagh sara to bayaban na hua tha so hua

Ghazal

Bagh sara to bayaban na hua tha so hua

Mohsin Zaidi

;

bagh sara to bayaban na hua tha so hua
jo KHizan ka kabhi ehsan na hua tha so hua

hum to bedar hue KHwab se apne lekin
wo bhi KHwabon mein pareshan na hua tha so hua

hum bhi kuchh soch ke kar baiThe bil-aKHir shikwa
wo bhi pahle to pasheman na hua tha so hua

mishalen sar ki sajai gain tasht-e-zar mein
kab se maqtal mein charaghan na hua tha so hua

safar-e-jaan ki hui ab kahin ja kar takmil
yani main be-sar-o-saman na hua tha so hua

dekhte dekhte aa pahuncha saron tak pani
ab tak andaza-e-tufan na hua tha so hua

dosto main jo talluq tha wo baqi na raha
dushmanon mein koi paiman na hua tha so hua

aur kya mujh ko sila milta KHulus-e-dil ka
hadaf-e-tohmat-e-yaran na hua tha so hua

dasht mein abr to barsa wo do ek bund sahi
pahle itna bhi to imkan na hua tha so hua

'mohsin' achchha hi hua us ne ulaT di jo naqab
rang us ka jo numayan na hua tha so hua