bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki
kis qadar mamnun hai baad-e-bahaari aap ki
bewafai aap ki ghaflat-shiari aap ki
mere dil ne aadaten sikhi hain sari aap ki
hai yaqin baham gale milne ko uTThen dast-e-shauq
ho agar taswir bhi yakja hamari aap ki
mai-kade mein TuTe jate hain baham laD laD ke jam
mufsida-pardaz hai chashm-e-KHumari aap ki
jazb ise kahte hain aae kahne meri qabr tak
ab yahan se baDh nahin sakti sawari aap ki
karti hain andher hathon ki ye kali mailiyan
qatil-e-alam hui hai sogwari aap ki
ja-ba-ja hote hain daman-gir dil ushshaq ke
har qadam par aaj rukti hai sawari aap ki
yaad-e-ayyame ki tha zoron pe jazb-e-husn-o-ishq
wo mere dil ka taDapna be-qarari aap ki
hai shab-e-mahtab gore rang se kapDe siyah
husn ko chamka rahi hai sogwari aap ki
do tarah ke ek saghar mein labaalab hai sharab
KHwab-aluda nahin chashm-e-KHumari aap ki
mere lashe ko liye phirte hain un rahon mein log
jin gali-kuchon mein phirti thi sawari aap ki
aaj kis par rahm aaya kis ko roe hain huzur
hai nasib-e-dushmanan aawaz bhaari aap ki
ahd mein majnun ke laila ka raha kya daur daur
ab 'tashshuq' ke zamane mein hai bari aap ki
Ghazal
Bagh mein phulon ko raund aai sawari aap ki
Taashshuq Lakhnavi