bagh mein phul khile mausam-e-sauda aaya
garm bazar hua waqt-e-tamasha aaya
sarban naqa-e-laila ko na dauDa itna
panw majnun ke thake hath tere kya aaya
ek nale ne mere kaam kiye bagh mein wo
gul ko tap aai to shabnam ko pasina aaya
ro ke main ne jo kaha aap ki hai chah mujhe
hans ke bole ki baDa chahne wala aaya
jhaD di gard jo daman ki kabhi hum ne 'asir'
hans ke farmaya ki tum ko bhi saliqa aaya
Ghazal
Bagh mein phul khile mausam-e-sauda aaya
Aseer Lakhnawi