اردو हिंदी
Bagh mein kaliyon ka muskana gaya | Shaahi Shayari
bagh mein kaliyon ka muskana gaya

Ghazal

Bagh mein kaliyon ka muskana gaya

Shaista Sahar

;

bagh mein kaliyon ka muskana gaya
phul par titli ka manDlana gaya

be-hunar hona bhi goya hai hunar
raaz ye taKHir se jaana gaya

mere dil mein bhi tapan hain walwale
kyun mujhe be aarzu mana gaya

band-e-gham se hum riha na ho sake
raegan sab sab ka samjhana gaya

hath malta rah gaya shauq-e-junun
toD kar zanjir-e-dil dana gaya

ho chuki pamal qadr-e-bandagi
jab ise kar-e-ziyan jaana gaya

aagahi ki mushkilen naguftani
kyun tujhe had se siwa jaana gaya

kitne chehre rakhta hai wo ek shaKHs
kab 'sahar' tum se wo pahchana gaya