bagh mein jugnu chamakte hain jo pyare raat ko 
yaad aate hain un aankhon ke ishaare raat ko 
shubh hai tum ko kahan TuTe hain tare raat ko 
dam-ba-dam aansu Tapakte the hamare raat ko 
TuTe tare saikDon yun qudsiyon ke dil hile 
dard se jis waqt hum tum ko pukare raat ko 
puri gardish aasman ne sham se ki ta-sahar 
aaj main ne gin liye sare sitare raat ko 
dhup nikli din ko chehre se haTa li jab naqab 
chandni phaili jahan kapDe utare raat ko 
saf karwaT lene ki aawaz aai kan mein 
su-e-dil jab jhuk ke hum tum ko pukare raat ko 
zarron ko shabash din ko hain huzur-e-mahr-e-ruKH 
dekhiye chhup ke nikalte hain sitare raat ko 
hijr ki muddat na hogi KHatm sabit ho chuka 
din ko zarre gin chuka main aur tare raat ko 
ulfat-e-ruKH mein hai wahshat yaad-e-gesu mein buka 
din ko sahra mein hain dariya ke kinare raat ko 
aa gai subh-e-qayamat aur main soya nahin 
phir na aai nind tum jab se sidhaare raat ko 
dil jigar lene phir aae subh ko kahte hue 
rah gae bistar pe do moti hamare raat ko 
munh pe zulf-e-zar-fishan hai mujh se hai rone ka hukm 
chandni dekhi hai dariya ke kinare raat ko 
aap aaraish bhi karte hain muafiq waqt ke 
din ko munh dhoya gaya gesu sanware raat ko 
DhunDhte phirte hain dil ko subh se har-su 'rashid' 
dil-ruba tha ek pahlu mein hamare raat ko
 
        Ghazal
Bagh mein jugnu chamakte hain jo pyare raat ko
Rasheed lakhnavi

