bagh kya kya shajar dikhate hain
hum bhi apne samar dikhate hain
aa tujhe be-KHabar dikhate hain
haalat-e-nama-bar dikhate hain
kuchh mazahir hain jo nagar mein hamein
dusra hi nagar dikhate hain
ruh-e-mutlaq mein ishq jazb hua
arsh ka kaam kar dikhate hain
KHud to pahunche hue hain manzil par
panw ko dar-ba-dar dikhate hain
hum ko matlub KHud se jaana hai
wan nahin hain jidhar dikhate hain
kitna phailaw raqs-e-ab mein hai
apne sar se utar dikhate hain
aa dikhate hain tujh ko apna aap
aur dil khol kar dikhate hain
aa karaate hain sair-e-dil tujh ko
aa tujhe bahr-o-bar dikhate hain
jab dikhani ho raunaq-e-raftar
wo yahan se guzar dikhate hain
uThte pani si lahr lene se wo
sar se pa tak kamar dikhate hain
kaun suraj hamari aankhon ko
KHwab-e-sham-o-sahar dikhate hain
rah-e-dushwar jab nahin kaTti
wo koi baat kar dikhate hain
mat uTha ab koi nai diwar
hum tujhe apna sar dikhate hain
chandni kya kahin pe bikhregi
tere dar par bikhar dikhate hain
dekh ek tangi-e-qayamat-KHez
hum tujhe apna ghar dikhate hain
baam-e-aflak se utar hamein
hath par dip dhar dikhate hain
asl ruKH ka nahin hai ushr-e-ashir
jo hamein chaara-gar dikhate hain
kuchh to mazmun bane-banae hain
aur kuchh bandh kar dikhate hain
ghamza-ha-e-pas-e-nazzara 'nawed'
hum ko rah-e-safar dikhate hain
Ghazal
Bagh kya kya shajar dikhate hain
Afzal Naved