bagh ka bagh ujaD gaya koi kaho pukar kar
kis ne shafaq pe mal diye phulon ke rang utar kar
sham ko mauja-e-hawa jaanib-e-dasht le uDe
subh chaman mein aa gae KHak pe shab guzar kar
saya-e-aftab mein barg o sharar ThiThur gae
barf kahan se aa gai dhup ka rup dhaar kar
pas hi manzil-e-murad KHak mein thi chhupi hui
rah mein pa-burida log baiTh chuke the haar kar
aaj tere KHayal se dil ko bahut sakun mila
Dub chali ye mauj bhi mujh ko ubhaar ubhaar kar
jalwa-e-mahtab bhi shoabada-e-KHayal hai
raat ke pas kuchh nahin subh ka intizar kar
walwala-e-hayat ke dil mein kai charag the
waqt ne sab bujha diye ek hi phunk mar kar
Ghazal
Bagh ka bagh ujaD gaya koi kaho pukar kar
Shahzad Ahmad