اردو हिंदी
Bagh-e-ulfat mein gul jo KHud-raw hai | Shaahi Shayari
bagh-e-ulfat mein gul jo KHud-raw hai

Ghazal

Bagh-e-ulfat mein gul jo KHud-raw hai

Kishan Kumaar Waqaar

;

bagh-e-ulfat mein gul jo KHud-raw hai
KHun-e-bulbul ka rang hai bu hai

aashiq-e-jaan fida-e-abru hai
jo mah-e-id sar-ba-zanu hai

fitna-e-hashr zulf-e-umr-e-daraaz
par bala-e-siyah gesu hai

teri abru hai tegh ai saffak
jauhar-e-tegh chin-e-abru hai

husn un ka agar hai sangin dil
ishq apna bhi saKHt bazu hai

len na shor-e-nushur se karwaT
wo yahan KHwab chaar pahlu hai

tol le sher ko mere hasid
pas agar nazm ki taraazu hai

kyun na wo chashm-e-shauq mein khaTke
ai pari-ru kamar teri mu hai

us ka aashiq hua hun jis ki 'waqar'
chashm aahu nigah aahu hai