bagh-e-jahan ke gul hain ya KHar hain to hum hain
gar yar hain to hum hain aghyar hain to hum hain
dariya-e-marifat ke dekha to hum hain sahil
gar war hain to hum hain aur par hain to hum hain
wabasta hai hamin se gar jabr hai o gar qadr
majbur hain to hum hain muKHtar hain to hum hain
tera hi husn jag mein har-chand maujzan hai
tis par bhi tishna-kaam-e-didar hain to hum hain
alfaz-e-KHalq hum bin sab mohmilat se the
mani ki tarah rabt-e-guftar hain to hum hain
auron se to girani yak-laKHt uTh gai hai
ai 'dard' apne dil ke gar bar hain to hum hain
Ghazal
Bagh-e-jahan ke gul hain ya Khaar hain to hum hain
Khwaja Meer u0027Dardu0027