اردو हिंदी
Bagh-e-bahisht ke makin kahte hain marhaba mujhe | Shaahi Shayari
bagh-e-bahisht ke makin kahte hain marhaba mujhe

Ghazal

Bagh-e-bahisht ke makin kahte hain marhaba mujhe

Shahzad Ahmad

;

bagh-e-bahisht ke makin kahte hain marhaba mujhe
phenk ke farsh-e-KHak par bhul gaya KHuda mujhe

main tera banda hun magar tere jahan ka raazdar
tu hai mera KHuda magar to nahin jaanta mujhe

sochta hun sunaun kya ahd-e-sitam ki dastan
kahta hun KHair chhoDiye yaad nahin raha mujhe

tha kisi sae ka KHayal thi kisi gul ki justuju
dasht ki samt chal diya dekh ke rasta mujhe

roz naya maqam hai roz nai umang hai
teri talash kya karun apna nahin pata mujhe

rang tha main to kyun zamin mujh se hui na lala-zar
KHak tha main to kis liye le na uDi hawa mujhe

lamha-ba-lamha dam-ba-dam chalta raha qadam qadam
Dubte chand ka safar kitna aziz tha mujhe

garche meri chamak se band chashm-e-sitara-o-falak
nur hun phir bhi nur ka rang nahin mila mujhe

aankh uTha ke meri samt ahl-e-nazar na dekh pae
aankh na ho to kis qadar sahl hai dekhna mujhe