bagh-e-alam mein jahan naKHl-e-hina lagta hai
dil-e-pur-KHun ka wahan hath pata lagta hai
kya taDapna dil-e-bismil ka bhala lagta hai
ki jab uchhle hai tere sine se ja lagta hai
dil kahan sair tamashe pe mera lagta hai
ji ke lag jaane se jina bhi bura lagta hai
jo hawadis se zamane ke gira phir na uTha
naKHl aandhi ka kahin ukhDa hua lagta hai
dil lagane ka maza hai ki gazak mein us ke
sab kababon se namak dil pe siwa lagta hai
na shab-e-hijr mein lagti hai zaban talu se
aur na pahlu mera bistar se zara lagta hai
hae mohtaj hua marham-e-zangar ka tu
zaKHm-e-dil zahr mujhe hansna tera lagta hai
aab-e-KHanjar jo hai zahrab wafadari ko
pani shayad ki sar-e-mulk fana lagta hai
qad-e-majnun koi pahle se chhaDi bed ki hai
jab zara jhukta hai qad panw se ja lagta hai
zard zahid hai to kya khoT abhi hai dil mein
'zauq' us zar ko kasauTi par kasa lagta hai
Ghazal
Bagh-e-alam mein jahan naKHl-e-hina lagta hai
Sheikh Ibrahim Zauq