اردو हिंदी
Baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah | Shaahi Shayari
baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah

Ghazal

Baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah

Shakeel Shamsi

;

baadshahon ki tarah aur na waziron ki tarah
hum to darwesh the aae yahan piron ki tarah

raj-mahlon mein kahan DhunDh rahe ho hum ko
hum to ajmer mein rahte hain faqiron ki tarah

hum bhi is mulk ki taqdir ka ek hissa hain
hum na miT paenge hathon ki lakiron ki tarah

jaan-fishani se bahut hum ne jaDe hain aansu
mathar-e-hind tere taj mein hiron ki tarah

dushmanon ko to yahi baat bahut khalti hai
hum to ghurbat mein bhi zinda hain amiron ki tarah