baadshah-e-waqt koi aur koi majbur kyun
bin gaya hai ek zamane ka yahi dastur kyun
hai baqa ke sath to nam-e-fana bhi lazmi
aap itni be-sabaati par hue maghrur kyun
dhup mein pani mein sardi mein hawa ke sath sath
jaan apni de raha hai aaj bhi mazdur kyun
ye to duniya hai na badli hai na badlegi kabhi
ghaur karne ke liye phir aap hain majbur kyun
apni shohrat ke liye us ne to kuchh socha nahin
ho gai lekin 'wasiyya' ki ghazal mashhur kyun
Ghazal
Baadshah-e-waqt koi aur koi majbur kyun
Fatima wasia Jayasi